Tuesday 22 May 2012

$$$$ BROKEN HEART $$$




Mujhe dard e ishq ka mazaa maloom hai,
Dard e dil ki intehaa maloom hai,
Zindagi bhar muskuraane ki dua naa dena,
Mujhe pal bhar muskurane ki sazaa maloom hai..
Bichad jana tu us ke liye ma-e-nay nahin rakhta,
Jafaon ka apni hissab wo zabani nahin rakhta,
Rota nahin ya usay rona nahin aata,
Sung-dil hai ya phir aankhon mein paani nahin rakhta….
Aashna hotey huay bhi aashna koi nahin
Jantey hain sab mujhy pehchanta koi nahin
Mukhtasir lafzon mein ye hai mizaj-e-dosti
Raabta beshak hai sab se wasta koi nahin...
Mere aur Us ke chahne me ek farq tha,
Mujhe woh aur Usko sara zamana chahiye tha
Nadaani mein hum kisse apna samajh baithe,
Jo dikhaaya uss Bewafa ne Sapna, hum haqeeqat samajh baithe
Dekho aaj chod diya hamein, Usne ek Ghair ke liye,
Jisse hum apna Humsafar samajh baithe...
zakhm itna gehra hain izhaar kya kare
hum khud nishana ban gaye vaar kya kare
so gaye hum magar khuli rahi aankhen
is se zyada unka intzaar kya kare...
Bhool jana tha to phir apna banaya kyon tha
Jhooti ulfat ka yaqin dilaya kyon tha
Apni chahat ka yaqin dilaya kyon tha
jooti manzil ka nishan banaya kyon tha
Wo muskura ke dard taal deta hai,
Kisi kisi ko khuda ye kamal deta hai.
Bus ik zara khayal is dosti ka tha,
Warna bohat gila teri berukhi ka tha,
Mujhko laga mai bhi teri zindgi main hoon,
Per ye to koi dhoka meri saadgi ka tha…



No comments:

Post a Comment